shayari
Aaj fir apne bebasi par ro rahi hu main...
ye ghum nahi ke kisine pyaar nahi kiya..
ghum to ye hai ki humme wo pyaar kar ke bhi barbad kar gaya.....
Naa aaya tha jab tak wo meri duniya me, tha uska intejaar tab tak................
tha intejaar to sahara tha mere jeene ka tab tak................
yahi sochti thi ki hai koi mere liye bhi............
jisse hoga mujhse pyar bahut, or hoga usse bhi mera intejaar bahut...............
Par jab wo aaya to kuch iss tarah aaya ki mujhy barbad kar gaya...........
gar jana he tha ussy to kyoun aakar meri duniya ko barbad kar gaya...........
Meri bachpan se saji sapno ki mahfil ko tanha or viraan kar gaya...........
Tha ek khuda sa boot mere dil me jisse wo bejaan kar gaya.............
Kyoun ban kar aaya wo mera apna, mera sapna........
Or fir har shaks ko wo mere liye anjaan kar gaya.............
Dil lekar mera wo mujhse,.....
Apna Dil kisi orr ke naam kar gaya..............
Par aaj bhi karta hai mera dil yaad sirf ussy hee .........................
Fir chahey wo kuch bhi mere saath kar gaya.........................
Orr Kuch Iss Tarah se wo mujhy, mujhse he Anjan kar gaya.........................